- Kheera 1 adad
- Lemo ka ras 1 khany ka chamach
- Andy ki safedi 1 adad
- Podina adha chamach
- Honey 1 chamch
- Arqe gulaab 1 chamach
Kheery ko cheel kar pees len.
Itna peesen k paste ban jay.
Ab is mein arqe gulaab lemo ka ras pisa hova podina or honey daal kar achi tarha mix karen.
Phir andy ki safedi ko achi tarha phent kar is mixture mein dalen.
Jab achi tarha mix ho jay to isy chehry or gardan par lagaen.aankhon say door rakhen.
25 mint tak laga rehny den phir neem garam pani say dho len.
Aap ki skin soft or chamakdaar ho jay gi.
Behtreen result k liye hafty mein ek dafa zaroor istamaal karen.
Article by azam ali kalwar
No comments:
Post a Comment